- Jo Bacha Bachpan main tameez nhi seekhta woh Bara hokar bhi nhi sekkhta.
- Tawaqal seekhna hai tou parindon se sekho k jab sham ko ghar wapis jatay hain tou un ki chonch main dana nhi hota.
- Rizq ki kami aur ziadti, dono hi burai k taraf lejati hain.
- Jahilon ka tareqa yeh hai k jab unki daleel un ki muqabil k agay nhi chalti tou woh larna churu ker dety hain.
- Agar chirdian mutahid hojayen tou sher ki khaal khench sakti hain.
- Jo dukh dey usy chordo mgr jisay chor do usy kabhi dukh na do.
- Din ki roshni main rizq talash kero aur rat ko ussy talash kero jo rizq deta hai.
- Jo dosron k ghum se latalluq hai usy insan kehlanay ka koi haq nhi.
- Jo nasihat nhi sunta woh malamat sunnay ka shoq rakhta hai.
- Aesay dost se hath dho lena behter hai jo tere dushmano k sath betha hai.
- Agar chahtay ho k tumhara naam baqi rhay tou apne bachon ko achay ikhlaq sikhado.
- Tajub hai Allah apni itni sari makhloq main mujhe nhi bholta, mgr mera tou sirf Allah hai main usy hi bhol jata hn
Friday, February 7, 2014
Quotations of Hazrat Shaikh Saadi
Subscribe to:
Posts (Atom)