Hazrat ibraheem AS ka qaida tha k jab tak koi mehman shareek e taám
na hota khana nhi khatay thy. Aik bar aesa hoa k hafaty tak koi mehman
na aya tou apne haftay tak khana na khaya , ap khud hi bhr tashreef
legye, bhr bht dhondha tou nazar aya k aik borha bhook se nidhal tha, ap
ne usy kahne ki dawat di tou woh bakhushi tyar hogya..
Apne usy
ghr walo k hamra khana khilane k liye dasterkhan pe bethaya magr us ne
khane se pehle bismillah na parhi, Ap (AS) ne us se poucha k khane se
pehle bismillah q na parhi tou usne bola k main aesa kabhi nhi kerta
usne bola main musalman nhi aatish parast hun. Ap ko bht dukh hoa aur
usey dasterkhan se utha dia.. USi waqt wahi nazil hoi k Aye Ibraheem AS
yeh bat hum per bakhubi ayan hai k yeh shaks hamari jagah ag ko apna
maabod janta haiaur usi ko sajda kerta hailekin is ilm k bawajood hum
isey barabar rozi pohcha rahe hain. Tou isey aik waqt ka khana bhi na de
saka. Na pak khayal ker k dastarkhan se uthadia.
Wazahat:-
Is
hikayat main Hazrat Shaikh Sadi ne yeh bat btai k neki kerte waqt
mustahik k mazhab ko na dekha jaye. Neki ka sahi tasawar yehi hai k
kisi achay kam ki taufeeq khuda ki taraf se hi milti hai aur makhlooq e
khuda ka kunbah hai. Agr koi shaks gumrah hai tou usey pyar aur narmi se
smjhaya jaye aur us ki rah ki musibaten kam ki jaye.
Wednesday, September 11, 2013
Subscribe to:
Posts (Atom)