Ads 468x60px

Hikayat-e-Sadi

By Rao Muhammad Rohail

Hikayat-e-Sadi

Saturday, August 17, 2013

Hikayat e Saadi




Shaikh ka naam Shaarfuddin, maslah laqab aur Sadi takhalus tha. Walid ka naam Maslahuddin tha.
Dada ka naam abdullah tha. Shaikh sahab 589 mutabqat 1333 main sheraz main paida hoye. Yeh zamana Argon Khan bin Aba Khan bin Halaku Khan bin Chankhaiz Khan ka tha.
Ap kay Buzurg Mahir an Shariat aur Aaleman-e-Deen the. Ap kay walid bare parhez gar aur nutaqi insan the. Abhi Shaikh sahab chotey hi the k un k walid rehlat farma gaye.
Saad bin zangi ne ap ki parverish aur taleem ka zima lia. Isi nisbat se ap ne apna takhalus Sadi rkha. Sheraz main ibtadai taleem hasil kerne k bad apmazeed taleem k liye baghdad chaley gaye, yaha apne mashhoor dars ghah main ilm hasil kia aur batni uloom k husool main mushgool ho gaye.
Yaha pe woh Allama ibn jozi (Abu ul Fajar ibn Jozi) aur Shaikh Chahabuddin Sahroradi se mustafeez hoye.
Yeh woh dor tha jab musalmano k madaris jagha jagha mojood the. Waha dor dor se talib e ilm atey aur taleem hasil krte the. Magar madarsa Nizamia Baghdad ko sab se ziada shohrat hasil thi.

Ab chand waqiat jo Hazrat Shaikh Sadi ne bayan farmaye..


Allah ki Ata-at :-

Hazrat Shaikh Sadi bayan farmate hain k aik din main sar zameen rod-bar main tha k achanak aik aesa shaks mere samne agya jo cheeteh per sawar tha, meri nazar us pe pari tou main thar thar kapne laga.
Us shaks ne meri halat dekhi tou muskuraya aur bola," Aey Shaikh Sadi, Mujhe cheeteh pe sawar dekh k pareshan na ho.Agar ou bhi Allah Pak k samne Sar e Ata at chuka de aur us k ehqamat k mutabiq zindagi guzare tou tera hukum bhi koi na tale ga. Is tarah sab tere farmabardar ban jaye gay. Jo khuda ki Ata at krta hai dusre us ki ata at krte hain.
Us shaks ne silsila e kalami jari rakha aur or k Jab badshah Khuda ka hukum bardar banda ban jata hai tou Khuda us ka madadgar aur muhafiz ban jata hai.Aur jab khuda dost ban jata hai tou mumkin hi nai k woh apne dost ko kisi dushman k hawaley kerday, Yad rakh zindagi guzarne ka yeh sab se acha tareka hai.

(Rod bar aesi jagah ko kehte hain jahan nehron ka jal bicha hoa ho.)

Wazahat:-
Hazrat Sadi (R.A) ne is hikayat main kisi buzurg ki yeh kararmat bayan ki hai k cheeteh jaise khonkhar janwar per sawar the aur us buzurg ki zabani yeh raz zahir kia k aesi quwat insan kis tarah hasil ker sakta hai. Jo log rohaniat k kail ni woh karamat aur mujazat k bi qail nai. Magar aik scha musalman in ka inkar ni ker skta aur yeh bilqul aesi hi baat hai jaise science se na ashna shaks x rays k amal ko ni samjh sakta yah hazar bar smjhane per bi atom ki mahiat se ashna nai hoskta.


Neki aur Danai ka Maqam:-

Hazrat Shaikh Sadi (RA) byan kerte hain k aik dervesh jin ki peshani se neki aur danai ka noor zahir horha tha aur jis ka jisam jaqan ki tarah mazbot tha, us halat main aik badsha k huzur poucha k us k libas k uper nechey sekaron pewand lagay hoye the. Badshah bhi dana aur mardam shanas tha.Is ne dervesh ki goftugo suni tou andaza ker lia k is shaks ki khidmat mufeed rhe gi aur usey apne mulazimo main shamil kerlia. dervesh ne gusul ker k naya libas pehna aur apne kam mai masroof hogya aur phir aesi mehnat aur hoshmandi se khidmat anjam di k taraqi krtey hoye wazeer-e-azam k auhde tak pohach gya.
Pehla wazeer is naye wazeer se hasad krne laga k is ki koi ghalti samne aye tou usey badshah k samne laye aur isey saza dilwaye. Lekin dervesh wazeer-e-azam aesa aqalmand aur naik dil tha k is k kisi kam main aeeb nikala hi nai jaskta tha.
Bohat arse k bad hasid wazeer ko aik aesi baat maloom hoi k woh badshah ko dervesh se badzan ker skta tha. Bat yeh hoi k do aesay ghulamo se jinhe badshah in k bht ziada khubsurat hone ki waja se pasand kerta tha, dervesh wazeer-e-azam ki dosti hogai. Yeh dono ghulam wazeer-e-azam ko bht naik aur aqalmand honey ki waja se isey pasand kertey the aur fursat k waqt main us k pas ajaya kertey the. Hasid wazeer ne in ki is pakiza dosti ko koi aur hi rang dia, aur namak mirch laga ker man gharak dastan badshah ko sunadi k naya wazeer-e-azam bht bad chalanhai aur huzur k khubaru ghulamo ko werghlaraha hai.
Badshah suni sunai baton pe yaken nhi kerta tha. us ne ulta hasid waeer ko hi jharak dia tou uski kabliat se hasad kerta hai. Lekin itefaq se unhi dino aik aesi bat hoi k hasid wazeer ko sacha ban ne ka moqa mil gya. Hoa yeh k wazeer-e-azam ne kisi waja se ghulamo ki taraf dekha aur jaise hi dono ki nazre mili tou ghulam muskura para. Hasid wazeer har waqt tak main rehta tha us ne usi waqt Badshah ko yeh waqiya dekha dia. Us ne dervesh ko saza dene ka faisala kerlia. Lekin gussay ki halat main bhi usey yeh baat yad agai k jab tak puri tehkik na kerli jaye saza ni deni chahiye. Chunacha usne dervesh ko wazeer ko pas bulaya aur kaha "aey shaks hum tere barey mai khyal kia tha k tou bht shareef aur qabil shaks hai aur usi waja se tujh per apni saltanat k raz zahir kiye aur tjhe wazeer-e-azam bnaya lekin hamey afsos hai k hamara yeh andaza ghalat sabit hoa. Maloom hoa k tou bht awara aur badchalan hai yeh keh ker badshah ne ghulam k sath isharah bazi ka hal sunaya aur kaha k bta, tjhe is gunah ki kia saza milni chahiye"?
Dervesh smjha gya k hasid wazeer ki karastani hai. is ne nihayat adab se jawab dia huzur malik hain jo saza den. Lekin sachi baat yeh hai k huzur k in ghulamo se mailjol rakhne ka hargiz ye matlab nhi jo huzur ko btaya gya hai, is ki waja sirf yeh hai k jawani k dino mai main bhi bht khubsorat hoa kerta tha. Huzur k in ghulamo ko dekh ker mujhe apni woh zindagi yad ajati hai, aur isi achi yad ko taza rakhne k liye main in se bateen kerta hun.
Badshah ko yeh bat thek maloom hoi. is ne darvesh ki tareef ki aur hasid wazeer ko saza di.
Wazahat:-
 Hazrat Shaikh Sadi (RA) ne is hikayat do zaren usul bayan kiye hain. Aik aam admi k liye Dosra hukmarano k liye. Aam logo ko yeh bawar keratay hain k Aalah nusaf hi insan ko khak se utha k aflaq pe pucha dete hain-In main sheren guftari, hosla aur naik chalni sarefahrist hain. Dervesh ne in ausaf ki waja se na sirf taraqi k aala madraj tey kiye balkay apne dushman ki sazish ko bhi nakam bnadia.
Huqmarano k liye Shaikh Sadi yeh mashwara dete hain k auhdon k liye behter logo ka intekhab, gussay ki halat main hosh-o-hawas per qabo rakhna aur puri tehqik k bad faisla kerna, yeh woh usul hain jo hukumat ko dawam aur huqmarano ko hayat jawaidan ata kerte hain.


Badshah Ki Danai:-

Hazrat Sadi (RA) farmatey hain k Hazrat Umer bin Abdul Aziz (R.A) ki angashtari main aik aesa nagina jara hoa tha jis ki sahi kemat ka andaza johri bhi na ker skte the.Woh goya deryae nor tha jo raat ko din main badal deta tha.
Itefaq aesa hoa k aik saal sakht kehet par gya. Log bhoko marne lagay. Hazrat ko in halat ka maloom hoa tou logo ki imdad k liye apni angashtari ka nagina bhi farokht kerdia aur jo kemat mili us se anaj khared ker taqseem ker dia.
Jab is baat ka ilm ap k bhy khuwahoo ko hoa tou un main se aik ne ap se kaha, yeh apne kia kya?aesa bhesh kemat nagina bech dala? Hazrat ne farmaya k woh nagina mje bi bht pasand tha magar mai yeh baat gawara nhi ker skta tha k log bhook se taraptey rahe aur main kemti angothi pehne betha rahon. Kisi bhi hukmara k liye yeh baat zaib nhi deti k woh logon ko taqlef main dekhe aur apne aram aur zaib-o-zenat k saman ko aziz rakhey. Yeh farmatey hoye ap k rukhsar pe anson beh rahe the.

Wazahat:-
Hazrat Sadi (RA) ne is hqayat main hukmarano ko is farz ki taraf tawaja dilai hai k inhe apne aram aur asaish per awam k aram aur asaish ko tarjeh deni chahiye. Yeh aik aesa usool hai jo hukumat se le ker aik mamoli khandan tak ka ahata kerta hai. Her bala shaks k liye yeh baat zarori hai k woh zer-e-daston k khyal se kisi tarha bhi ghafil na ho. yeh us ki deni aur ikhlaqi zimedari hai.


Musbat Jhoot aur Fitna parwar Sach:-

Maine suna hai k aik badshah ne aik shaks ko kisi jurm main qatal kerdiya."marta kiya na kerta". us ne jo mun main aya kehna churu kerdia aur badshah ko khub galian di. Kehtey hain k jab banda jan se hath dho bethta hai tou jo us k dil main aye keh jata hai. Zarorat k waqat jab banda bhag na sakey tou jaldi main hath se talwar ki nook ko bhi pakar liya jata hai.
Aur aik Arbi sher yun bhi kaha gya hai k :-
"Jab insan mayoos hojata hai, tou us ki zaban lambi hohati hai, jaise bili khabra ker sher pe bhi hamla ker deti hai".
Chunkay badshah ki zaban or thi tou woh woh kuch na smjh saka k woh kia keh raha hai. Chunacha badshah ne darbario se poucha k yeh kia keh raha hai. Darbar main aik naik dil wazeer bhetha hoa tha, usne arz ki badshah salamat yeh keh raha hai kwoh log bohat achay hotey hain jo gussay ko pi jatey hainaur logo ko muaaf krdiya kertey hain.yeh sun ker badshahko reham agya aur us ko qatal kerne ka irada chor dia aur usey muaaf kerdia. Aik dosra wazeer jo pehle wazeer ka mukhalfat tha us ne muqa-e-ganimat jana aur khara ho ker khehne laga k hum jaise logo ko zaib nhi deta k badshah ki barghah main kharay ho ker jhoot bolna churu ker den.yeh nalaik tou badshah salamat ko galia de raha hai, aur wazeer sahab kehte hain k yeh badshah ki tareef ker rha hai.badshah dosre wazeer ki bat sun ker naraz hoa aur kehne laga k is ka jhoot mujhe sach se ziada pasand aya kiun k us ne jhoot bol ker aik jan ko bachaney ki koshish ki is liye is ka irada naik tha, tere sach main khabasat chupi hoi thi . Aqalmando ka kehna hai k woh jhoot apne daman mai khair ka pehlo liye hoye hai us sach se behter hai jo fitna barpa ker dy.
Jis shaks ki marzi per badshah chalta ho us per afsos hoga agr achi bat k siwa koi bat mun se nikalay.
Wazahat:-
Is hakayat se hamay se sabak hasil kerna chahiye k agr ksi shaks ki waja se kisi ko faida horha haiagrchah woh faida ghalat byani se mil raha ho(jb k is jhoot se kisi ka nuqsan na horha ho) tou is mai tang arane k bjayekhamosh rehnabehter hai. Aur is moqay per apni dushmani ka intaqam lene wala insaf pasand logo k qareeb dosre wazeer ki tarah shermindagi se dochar hoga.
Jis maslehat amez chot (chupa k baat kerna) se fitna ka darwaza band hota hai, 2 larne walo main sulah hoti hai. khangi zindagi main kashidgi kam hoti hai uski ijazat hai.

Zahiri Husan aur Aqalo Shaoor:-

Aik badshah k sare betey haseen o jameel the aur apne husan pe nazaan the. Jab k un se aik beta intehai badsurat aur chotey kad ka tha. Aik din badshah ne apne us pastah kad bete ko hikarat ki nazar se dekha.Beta apni khuda dai aqal se smjh gya aur arz kia, "Aba jan ghustakhi maaf, agr chotay kad wala agr aqal mand hoto husan e jamal walay lambay se afzal hai. Kia yeh sach nhi hai k  choti cheez qadar o qemat main bari se behter hoti hai. Jaise bakri choti hai magar paak hai, jab k hathi bara ho ker bi mardaar o napak hai.
Tor pahar zameen k paharo main sab se chota hai magar is ki qadr o qemat tamam paharo se ziada hai. Kia apne nhi suna k aik kamzor mgr aqal mand admi ne aik martaba motay bewaqof ko kia kaha,
Usne kaha k arbi khora agrchah kamzor hi ho magar sare gadho main ziada shan rakhta hai.
Badshah us ki yeh baat sun ker hass para aur bohat khush hoa, jab k dosre bhaiyo ko bht sadma hoa, is liye kehtey hain k jab tak banda bolta nhi us k aib aur khobiya chupi rehti hain.Her chari k baray main yeh khyal nhi kerna chahiye k shayad khali ho, ho sakta hai k us main koi khatarnaak janwar chupa ho.
Maine suna hai k is doran badshah k kisi dushman ne badshah per charhai ki tou sab se pehley jo shaks koda woh wohi pasta kad beta tha.woh us dushman ko lalkarta hoa aur kehta hoa aya k," main larrai k darmian pet pher kr bhagne wala nhi hunbalkay tou mje larai main khakokhon main lithra hoa dekhay ga q k larai k din jo jang kerta hain woh apne khon se khelta hai, aur larai k dermian bhagne wala purey lashker ka khon kerta hai. Yeh keh ker dushman per jhapat para aur kai dushmano ko qatal ker k apne bap k qadam chom ker arz kerne laga k Aba jan apne mere kamzor jisam ko meri kamzori smajh lia aur motapay ko husn jana, jab k haqiqat yeh hai k patli qamar wala khora larai main woh kam ker jata hai jo bhala mota bail bhi ker skta hai?
Kehtey hain k dushman k sipahi bohat thay aur lushkar kam tha tou is lashkar mai se kuch lusharion ne dar ker bhagne ka faisla kia tou is shehzaday ne nara e mastana lagaya, Aey bahadur khabardar aurton ki tarah bhagna mard maidan ka kam nhi, Mard bano aur dushman k samne datt jao Dushman ko maro yah khud mar jao bas itna kehne ki dair thi k lushkar ka hosla bara aur dushman per hamla ker k un k chakay chura diye.aur fatah hogai, baap ne apne bete ka sir choma ankho ko bosa dia bgal geer hoaaur rozana badshah ki tawaja is per ziada hoti thi yaha tak k us ko apna wali ahd chun lia.ab bhaiyo ne hasad kerna shuru krdi aur usko khane main zehar de k marna chaha. Jab khana samne aya tou us ki behan yeh sari karwai dekh chuki thi. usne khirki se jhank ker zor zor se khirki ko pitna churu kerdia, shehzada apni zahanat se bat smjh gyaaur khana na khayaaur kaha yeh tou behter nhi hai,na k aqal mand mar jaye aur bewaqof in ki jagah smbhal le.
Grcha hma (aik parinda hai jis k baray main mashhoor hai k jis k sir pe uska saya per jaye woh badshah ban jata hai) duniya se khatam bhi hojaye phir bhi ullu (nahosat ki alamat) k saye main ana toukoi bhi pasand na kre ga.
Badshah ko pata chala tou usne tamam sherpasand betoon ko bula ker un ko saza diaur apne mulk k mukhtalif ilaqo main tamam ko munasib hisa de ker farig krdia ta k fitna khtm ho (q k misal mashhor hai) 10 faqeer aik kambal main tou sambhal skte hai mgr 2 badsha aik mulk main nhi sma skte.
Alllah ka banda agr andhi roti kha le  aur adhi gareebo ko de deta hai, Lekin badshah agr aik mulk pe kabza ker le tou dosre mulk pe kabza kerne ki fikar main lag jata hai.
Wazahat :-
Insan ko apni zahiri husan pr nazan nhi hona chahiyeq k yeh arzi aur ghair ikhtiari cheez hai aur kisi ko bhi hikarat ki nazar se nhi dekhna chahiye balkay Allah ka shukar ada kerna chahiye k us ne is ko aesa yah waisa bna diya, apne andar kamal paida kerne ki koshish kerni chahiye.


Achay Hukmaran Ki Khususiat:-

Bayan kia jata hai k iran ka mashhoor shehanshah dar aik din shikar khailta hoa us margazar main pohanch gya jaha us k ghoray chara kertey they. Badshah ka lashkar pechay reh gya, aur us waqt woh tanha reh gya tha.
galla baan ne shehansha ko dekha tou woh peshwai k liye us ki taraf barha. Dosri taraf badshah ne yeh khyal kia k yeh koi dushman hai jo mujhe tanha pa ker buri niat se meri taraf barha hai. Usne foran kandhay se kaman utari galla baan ka nishana lagane ka irada ker liya. Galla baan ne yeh dekha tou foran khofzada ho ker chilaya, Huzur mujhe pehchaniye main dushman nhi huzur k khoro ka nighayban hn.
Dara ne uski yeh bat sun k hath rok lia aur kaha teri kismat achi hai jo tou bach gya.
Galla baan ne kaha, huzur yeh bari tajjub ki bat hai k huzur apne is khadim ko na pehchan sakay jo kai bar salam k liye khidmat main hazir hochuka hai. Main aik mamoli sa charwaha hun lekin apne aik aik ghoray ko pehchanta hun. Huzur wala jis ghoray ki talab karen lakh ghoron main se usey nikal ker le aoga. Shehanshah alla waqar yeh herqiz munasib nhi k huzur apni riaya se is tarah ghafil rahen k dost aur dushman main se tameez na ker saken.Hukmarano k liye lazim hai k woh apni riaya k afrad ko achi trah jantey aur smjhte hon.Hukmarano ko chahiye k woh apna chapar gath asman pe na bichayen. Zamen pe utar ker mazlomo ka haal jane. Aey shehanshah agr koi zalim kisi pe zulm ker rha hai tou darasal tera zulm hai. Agr kuta kisi ka daman pharta hai tou woh daman kutta nhi pharta balkay woh kuttay ka malik pharta hai.
Wazahat:-
Hazrat Shaikh Sadi (RA) is hikayat main apne khas rang main hukmarano ko un k is farz ki taraf tawaja dilai hai k un k aur awam k mabain gehra rabta hona chahiye jo awam aur hukmaran k dukh dard main dilsozi k sath shamil na hoga.Is ka iqtadar na paidar hoga. 


Aadil Ki Hukumat:-

Bayan kia jata hai k aik Badshah mamoli kapre ki kaba zaib e tan kiye rakhta tha. Aik din us k aik darbari ne kaha k huzur e wala khazano k malik ho k bhi aesay mamoli kapre pehantey hain. munasib tou yeh hai k apne liye behtreen cheeni kabayen tyar karaen.
Yeh bat sun ker aadil aur aaqil Badshah ne kaha, yakenan mera dil is khuwahish se khali nhi k apne liye aala darjay k libas tyar karaoon, lekin yeh khazana sirf mera nhi, yeh mulk aur riaya ka maal haiaur iska sab se behter musaraf yeh hai k isey mazbot fouj tyar kerne main kharach kia jaye ta k mulk ki sarhado ki hifazat ki ja sakay.
Badshah dehkan se is liye maliya wasool kerta hai k isey zalimo k shar se bachaye.Agar koi zalim us ka gadha cheen ker lay jaye tou maliya wasool kerna insaf k mutabik na hoga.
Is k ilawa yeh bhi aik haqiqat hai k jo badshah debah kabayen pehanta aur auton ki tarah aone ap ko sajata hai woh medan e jang main dushman ka muqabala nhi ker sakta. Riaya Badshah k liye phal dar darakht ki trah hoti hai, is ki parwarish aur nighadasht badshah pe farz hoti hai. Agar woh us darakht pe kulhara chalaye ga tou saye aur phal dono se pehroom hjaye ga. us e ziada buzdil aur kamina koi nhi jo chutio k samne se dana uthale. Shujaat ki kasam puri duniya ki hukumat bhi is qabil nhi k is k liye na haq ka khon ka aik katra bahayajaye.
Wazahat:-
Hazrat Shaikh Sadi (RA) ne is hkayat mai sahib e ikhtiar logon ko un k aik aesay gunah se agah kia hai. jis ne zameen main fasad ka ghar bna rakha hai. Woh gunnah apni wajahat aur asaish ko awam k aram o asaish per tarjeh dena surat e haal yeh hai jin logon ko mamoli sa ikhtiyar bhi hasil hojata hai, woh apne ap ko un logo ka aaqa smjhne lagta hai jin ki hifazat ka half utha ker woh iqtadar hasil kerta hai.Siyasat ka sab se bara aeeb yehi hai k badshah khazane ko apni mulk aur awam ko apne ghulam khayal kertey rhe hain. Jab k kisi bhi hukmaran ki hasiat riaya ki khadim hoti hai. Khilafat e rashid amain hukmarano ki yeh be aeb tasveer dekhi ja skti hai.


Duniya Ki Haqiqat:-

Bayan kia jata hai k mulk e rom k aik Badshah per taqat war dushman ne charhai kerdi aur us ka bohat sa ilaqa fatah ker liya. Is badshah k kabzay main sirf qila aur chand shehar reh gaye.
Yeh badshah burhapey ki umer ko pohanch gya tha. mazeed uftad yeh thi k us ka beta us ki tamanaoo k mutabik na tha. Badshah mehsos kerta tha k na main dushman se apna ilaqa wapis le sakon ga aur na mera beta is qabil bane ga k mere bad saltanat kayam rakh sakay.
Aik din badshah aik buzurg ko yeh halat sunatey hoye abdida hogya. Buzurg ne usey smjhaya k yeh sakht nadani ki baat hai k tou aik fani cheez k liyedilgeer ho teri umer ka aftab dhal chuka, tujhe tou ab apni fikar kerni chahiye , reh gaya tera beta tou woh apne halat khud sanware ga.Aey Badshah, saltanat hergiz aesi cheez nhi k isey zindagi ka maqsad bna liya jaye, ghor ker,aajum k kitne badshahon ne ghon rezi aur zulm se saltanat hasil ki lekin is main se kafan k siwa kuch bhi apne sath na leja sakey. Aey badshah , tere kam aney wali cheez  tou bas tere achey aamal hain.Bakhshish aur karam k darakht ki abyari ker, k is k phal tujhe asoda aur mutmain rakhen gay. Jo shaks apne pechey bhalai k nishan chor jata hai, us per hameshah khuda ki rehmat nazil rehti hai.
Achey amal mai kotahi kerne wala hmesha namurad rahe ga. Aesey nakara ka khyal dil se nikal de jis ne tandor tou garam kia magar lekin roti nhi nikali, Yani duniya main zinda tou raha magar bhalai ka koi kam na kia. Ab woh afsos main apne hath katne k siwa aur kia kerskta hai. Jo log waqt per beej nhi boty inhe apni kotahi ka andaza us waqt hota hai jab jab log khalyan arasta ker rhe hotey hain.
Wazahat:-
Hazrat Shaikh Sadi (RA) is hikayat main insan ki is aam kamzori ki taraf ishara kia hai k woh apne aulad kay mustaqbil ko tabnaak bnana chahta haiaur apne ikhteyar o iqtadar ko daimi banane ki fikar main rehta hai. Unho ne guzushta badshaho ka zikar ker k zindagi ki khuli kitab se roshan shahadat pesh ki haik insan k kam anay wali cheez is k achay aamal k siwa kuch nhi. Duniyawi sazo saman tou bahar haal chorna parta hai.


Allah Se Dushmani:-

Mulk e sham k rehne wale aik buzurg, jin khuda dost tha abadi se nikal k aik khar main abad hogaye the. Allah k naam k siwa ab inhe kisi bat se gharz na thi. aur in ki yehi be gharzi un ki maqboliat ka sabab ban gai thi. LOg dor dor se in ki ziarat k liye atay thy aur duaoon k tohfay le ker lot jatey thy.
Is ilaqay ka aik jagirdar shaks bohat hi zalim aur sangdil tha. Kisi k sath acha sulok kerna jaise usne sekha hi na tha.Gharibo ko satana aur rulana goya uska khas mashghala tha. Khuda jane us k dil main kiya khyal aya k aik din woh  bhi unki ziarat k liye pouhanch gya.
Buzurg khuda dost sab se marwat aur meharbani ka bartao kertey thy. Lekin jab is zalim jaghirdar ko apne kareebpaya nafrat se moo pher liya. Us zalim ne yeh bat mehsos ki k us k sath acha salook nhi kia ja rha tou woh kareeb beth gya aur shikayat bhari awaz main kaha, Kia bat hai hazrat ne meri taraf altafat nhi farmaya? kam az main us salook ka tou mustahik tha jo janab dosron k sath kerte hain.
Buzurg ne farmaya,  tou husn salook ka mustahik kis tarah theher sakta hai, tou khuda ki makhlooq ko pareshan kerne wala hai, aur hamey makhloq e khuda ki pareshani se pareshani hai. Tou hmarey doston ka dushman hai phir hamara dost k se ban skta hai.
Wazahat:-
Hazrat Shaikh Sadi (RA) ne is hikayat main yeh nukta bayan farmaya hai k makhloq e khuda ka dushman khuda ka dushman hai. Is liye khuda k doston ka farz hai k woh makhloq e khuda k dushmano se bair rakhen.

Masaib Per Sabar Ki Talkeen:-

Aik badshah kashti pe sawar hoa aur kashti main aik ajmi larka bhi sawar tha jis ne kabhi bhi daryai saffar kashti k zariye nhi kia tha. Is ne rona shuru krdia aur us ka badan thar thar kanpne laga. Yeh dekh ker badshah k safar ka maza kharab hogya. Kiu k nazuk tabiyaten aesi batoon se pareshan hojati hain. Logon ne is bache ko bara smjhaya magar us ne rona band na kia. Aik aqal mand jo us kashti main sawar tha us ne badshah se arz ki k agr ap hukum den tou main is ko chup kara skta hn. Badshah ne kaha agr aesa hjaye tou hum tmhare barey hi shukar guzar hongay. Chunacha usne bachey ko pakar ker pani main phenk dia. Jaab chand ghotay aye tou baloon se pakar ker wapis kashti main khench lia. Ab akhir tak chup ho ker kone main betha raha. Badshah ne hairaan ho ker poucha k is tareka e ilaj main kia raz aur danai hai? tou aqal mand ne jawab dia k is ne dobne ki takleef na dekhi thi is liye kashti main bethne ki kadro kemat se na wakif tha. Aram ki kadar usi ko hoti hai jisne koi takleef dekhi ho.
Peth bhar k khane wale ko jou ki roti kab achi lagti hai halankay bhokay k liye tou yehi sab kuch hai.
Jannat ki huron k liye tou aeraf hi dozakh hai, jab k dozakhion se poucha tou un k liye tou yehi jannat hai.
Wazahat:-
Mazaib o alaam main sabar kerna sekha jaye aur har hal main Allah ka shukar ada kia jaye. Aesa na ho jis takleef main ap hain aur nashukri kren us se bari musibat main mubtala kr diye jayen. Musibatoo main sabar kerne se gunah muaaf hotay hain aur darjay buland hotay hain.Hadees e pak main hai k momin ka sara kam hi khair hai nemat milay tou shukar kerta hai aur takleef aye tou sabar kerta hai, Dono suratoon main rab ki raza hasil hojati hai. 

Khud Gharzi Fasaad Ki Jar:-

Hazrat Shaikh Sadi (RA) farmatay hain aik bar damishk main bohat sakht kehat para. Halat yeh hogai ke sajzay ko tidiyo aur insano ne tidiyo ko khaliya. Makhlooq e khuda bhook se halak hogai.
Aik din meri mulaqat aik aesay shaks se hoi jo kafi mal dar tha. Lekin maine dekha k woh waisa hi pareshan hal aur kamzor nazar arha hai jaisay shehar k dosre logo ka haal tha.Main us ka yeh haal dekh ker bohat hairan hoa.Maine us se poucha yeh main tmhe kis haal main dekh raha hun.
Woh bola aey Sadi (RA) kia tum is bat se bekhabar ho k kehat k bais makhlooq e khuda tabhah ho gai hai. Maine kaha main janta hun lekin kehat ka tum per kia asar par sakta hai Khuda k fazal se ghani ho. Her cheez ba afaat hasil ker sakte ho.
Meri yeh bat sun ker dost ne aaahh bhari aur kaha k aesa kis tarah mumkin hai k admi apne ird gird k logo ko bhol jaye aur sirf apni zaat pe nazar rakhe.Koi shareef admi kisi admi ko dobtay hoye dekh ker itminan se sahil per khara nahi reh sakta. Beshak main bhook se mehfooz hun lekin dosron k gham ne mujhe halak ker dia hai.Agr kisi k aziz kaid ker diye jayen tou gilgisht mai masroof nhi reh sakta.
Wazahat:-
Hazrat Shaikh Sadi (RA) ne is tamadun ka aik bohat hi aehem usol bayal kia hai aur woh hai inbaye jins k dar aur dukh ko mehsos kerna aur usey door kerne ki koshisho main mashghol rehna.Ghor kia jaye tou roh e zameen per sab se bara fasad khud kharzi aur nasal parasti hi hai. Insano main aesay logo ki aik bari tadad mojood hai jo dosron k naf e nuksan se be parwah ho ker zindagi guzartey hain aur yaha tak dilair hojatey hain k apne adna se faiday k liye dosron k bara se bara nuksan kerne se bhi baaz nhi atay. Agr har shaks Hazrat Sadi (RA) k dost ki tarah hoaye tou yeh duniya jannat ka namona ban jaye.


Fitrat Nahi Badalti:-

Arab k aik giroh ne pahari ki choti pe kabza jamalia, jis per kabo pane k liye badshah ka lashkar bhi aajiz hogya. Q k woh pahari ki mehfooz tareen ghar main panah liye hoye thy. Badshah k aqalmand logo ne badshah ko mashwara dia k agr in logo ko isi jagah chor dia gya tou inka shar barhta jaye ga aur phir in per kabo pana mushkil hojaye ga.
Jo darakht abhi jar pakar raha ho usko aik admi bhi pakr kr ukhair sakta hai aur agr darkht jar pakar jaye aur mazboot hojyae tou usey masheen k zerye bhi ukhairna mushkil hojata hai.
Faisla yeh hoa k aik shaks dakoan ki mukbari k liye mukarar ker dia gya, chunacha jis waqt woh dako lot mar kerne chalay gye aur kayam gah khali thi tou chand tajarbakar, jangazmod log waha gye aur ghtai main chup gye. Rat gye jab chor lat mar ker k wapis aye aur thak ker so gye aur rat ka aik hisa guzar gya.
Soraj siyahi mai jaise Hazrat Younis  batan mahi ( machli k pait) main gya.
Jasosi kerne wale uthe aur choro k hath bandh diye aur subha badshah k darbar mai paish ker dia. in choro main se aik noujawan bht khobsorat tha jis ki abi darhi phoot rhi thi. Aik wazeer ko us pe taras agya tou usne badshah se darkhuast ki k us ko muaaf ker dia jaye. Badshah yeh sun ker laal pela hogya kyun k ye bat us k mizaj k khilaaf thi.
Jis ki asal hi buri ho woh neko ka saya bi k se barddasht ker sakta tha. Badshah ne kaha k in choro ki jar kat ker phenk dena hi behter hai. kyun k aag bujha ker chingari chor dena aqal mandi nhi.
wazeer ne badshah ki raye oer razamandi zahir ker di magar bola k apne bilkul baja farmaya magar agr is nojawan ko mouqa dia jaye , agr neko ki sohbat main rahe ga tou naik ban jaye ga. Buron ki sohbat ne usey bura bnaya hai, Hadees main ata hai k har bacha fitratan musalman paida hota hai phir bad main usey us k maa baap us ko hindu, eesaai ya kuch aur bnatay hain.
Hazrat Nooh (AS) ka beta buron ki sohbat main betha tou sara khandan choot gya aur Ashab e Kaif ka kutta chand din acho main reh ker banda ban gya.
Wazeer ki yeh bat sun ker darbar k aur bhi log bi is k humnawa hogye aur badshah ne nachahte hoye bhi usay muaaf kerdia.
Kissa mukhtasar is larkay ko bari naaz o naimat mai rakha gya, parhane likhanay k liye ustad  mukarar kia gya, jis ne usey batcheet k adab sekhaye. yaha tak k sab usey pasand kerne lgay. Aik din wazeer badshah k samne us noujawan ki khobyan bayan kerne laga k aqal mando k sekhane oarhane ne is par acha asar dala hai aur uski buri adaten choot gai hain. Lekin badshah muskuraya aur kaha k Akhir kar bhehriye ka bacha bheria hi hota hai, agarcha insano k tarbiat paye usko 2 saal hi guzrey hongay k muhalay k  chand badmasho ne us se dosti ker li aur usne wazeer aur us k dono beton ko qatal ker diya aur sara maal le ker farar hogaye.
Badshah ko jab pata chala tou usne danto main ungli daba ker yeh ashaar parhe:
Ghatia lohay ki achi talwaar ni ban skti, buron k sath neki ker na aesa hi hai jaise nekon k sath burai kerna.
Wazahat:-
Jis ki tabiyat main burai rach bas jaye us per tarbiyat bi asar ni kerti, lehaza har waqt us k shar se muhtat rehna chahiye, hadees main hai momin aik sorakh se dobara nhi dasa ja skta.

Zalim Ki Touba Qabool Nhi Hoti :-

Main (Sadi) Hazrat Yahyah (Nabi jo Hazrat Zikrya k betey thy dono ka naam or zikar Quran mai hai (A.S)) Paghambat A.S ki qabar anwar per jamiya masjid damishq mai Aetaqaf ker raha tha k aik badshah jo zulm aur nainsafi main mashhoor tha namaz parh ker yun dua kerne laga.
Faqeer o Badshah is dar k ghulam hain, jo bara maldaar ho woh bara mohtaj hain, phir mujhe kehne lagay ap buzurg hain or Allah se khass taluq hai dua farmayen aik sakht dushman ka samna hai kamiyab hojao. Maine usey kaha k kamzor riaya pe reham ker taqatwar dushman bhi tujhe koi nuqsan nhi pohcha paye ga.
Taqatwar panjay se ghareeb bechare ka panja tor dena ghalti hai, jo giray hoye per rehm nhi kerta woh us din se dare k jab woh khud giray ga tou koi nhi uthaega. Jo burai ka bej boye woh bhalai ki umeed na rakhe. Kan khol aur insaf ker agr aj tou insaf nhi karey  ga insaf ka din bas anay hi wala hai.
Insan aik dosre k aaza hain q k asal main woh aik hi  hain aik uzoo ko takleef ho tou sara jism takleef main mubtala hojata hai agr tou dosro ki takleef se la parwah rahe ga tou tu is qabil nhi k tjhe insan kaha jaye.
Wazahat:-touba ki qaboliat k liye apne guzishta gunnah per bhi nazar e sani kerni chahiye , zalim ki dua k se qabool hoskti hai k Allah ko her giz pasand ni kerta. Dosron ki khair khuwahi insan ko rab ka mehbob bana deti hai. Yehi Islami akhowat hai jo mazkora bala shairon main aik hadees e mubarak ka mafhoom byan hoa hai.


Aik Kisan Ki Nasihat:-

Bayan kia jata hai aik mulk ghor main aik badshah bht hi sakht dil aur lalchi tha, woh ghareeb kisano k bakre fuzul main pakarwa leta tha aur ghareebon ko un k sahare se hamesha k liye mehroom kerdia kerta tha. Moout hi in kadhon ko mushaqat se churati thi. Aik bar yeh zalim badshah shikar k liye gya tou jungle main apne sathiyo se bichar gya aur bhatak ker aik gaoon main ja poucha.Waha poucha tou dekha k aik kisan apne motay tazay gadhay ki tang torne ki koshish ker rha tha.
Badshah ne yeh ajeeb harkat dekhi tou bht heran hoa aur us se poucha k tou yeh zulm q ker rha hai, Kisan ne jawab diya k kia tune Hazrat khadir (A.S) ka wah waqiya nhi suna jis main kashti k takhtay tordene ka zikar ata hai. Badshah bola sunna tou hai magar gadhay ki tang torne se iska kia taluq?
Yeh bat sun ker kisan ne josh aur gofgii bharay lehjay main badshah k us zulm k baray main btaya jo gadhay bekar main pakar ker lejata hai  aur kaha jis tarah Hazrat Khadir AS ne kashti main aeeb dal ker usey pakrey janay se bachalia. Isi tarah mai n is gadhay ki tang tor ker us ki jan bacha raha hun.
Badshah ko gussa tou bht aya magar tanha hone ki waja se khamosh raha. Subha hotay hi lashkari usey talash kertey hoye waha pouhach gye aur zara si dair main jungle main mangle ka sama nazar aney laga. Badshah khane se farigh hochuka tha tou usey kisan ka khayal aya aur foran usne apne sipahi bhj ker usey pakarwa bulwaya.
Kisan ko maloom hoa k woh badshah k moo per hi usey bura bhala bolta raha tou usne andaza kerlia k ab uski jan ni bachay gi. Usne socha jab marna hi hai tou q na zalim ko khari khari sunao. Chunacha usne zalim badsha ko uska sahi chehra dikhaya kaha k tere khusahmdi wazeeron ne tje tere barey main jo kuch btaya woh thek nhi pura mulk teri khud gharzi aur lalach ki waja se pareshan hai.
Kisan ki baten agrcha talkh thi magr in main sadaqat thi chunacha isliye uski baton ka badshah k dil pe asar hoa us ne usi waqt toba kerli aur kisan ko inam o ikram se nawaza.
Wazahat:-
Hazrat Sadi RA is hikayat main be had mosar andaz main yeh bat smjhai k zalim aur sakht gir shaks kabhi izat hasil nhi ker sakta.
Nasehat kerne wala khoof aur lalach se balatat hokar naseehat kerey tou uski bat ka kuch na kuch asar zaror hota hai.

Hajaj Bin Yusuf Aur Darvesh:-

Aik darvesh jo k qaboliat dua walay thy un k pas hajaj bin yusuf (aik lakh bees hazar musalmano ka katil) aya, Hajaj ne arz kia mere liye dua farmayen, Darvesh ne dua farmai " Ya Allah mujhe mout dede", Hajaj ghabra k bola yeh kia bol rhe ho, Un ho ne farmaya yehi dua tere liye aur tere liye or tamam musalmano k liye behter hai.
Aey mazlomo ko tang kerne wlay zalim kab tak zulm ka bazar garam rakhay ga yeh badshahat tere kis kam ki  tera marjana hi behter hai q k tou Allah ki makhloq ko tang kerne wala hai.
Wazahat:- 
Zalim hukmaran hr waqt khuda k ghazab main rehta hai q k sare mazlom us k liye bad dua hi kertey rehte hain. Aehl e Allah kabhi bhi zalim ki himayat nhi kerte. balkay us k smne us ko usko zulm kerne se baz rehne ko kehte  hain or khuda k huzur mazloom makhloq k haq main aur zalim k khhilaf dast badaa rehte hain, Allah tala kabhi bi zalim ko pasand ni farmata, is liye zalim Allah ki madad se mehrom rehta hai.

Jihad e Akbar:-

Bayan kia jata hai k aik naik dil aur saaf go shaks se waqt ka badshah is liye naraz hogya k us ne is k robaroh sachi bat kehdi thi. Badshah ne is k haq goi ko ghustakhi khayal kia aur usey jail khane bhjdia.
Kediyon ki zindagi musibaton se bharihoi thi lekin woh mard haq agah yah bhi khush rehta tha. Agar koi parsanehaal hota tou bohat inmina se kehta k mian, ked o band ka kia ha yeh mamoli sa waqat akhir guzar hi jaye ga.
Itefaq se yeh baat badshah k kano tak pohach gai. Woh hansa aur apne nademo se bola k yeh is ehmaq ki bhool hai k yeh ked se choot jayega. Hmari traf se isey btado k ab woh ked zindagi se azad ho kar hi is zindagi se bahar niklay ga.
Badshah ka yeh faisla sun ker bhi darvesh k mathey pe shikan na ai. Chalo yunhi sahi. Lekin yeh bhi mere liye nafay ka soda hai. yeh zulm bardasht ker k main khuda k huzur pohchoga tou iski rehmat se nawaza jaoga. Lekin badsha is k ghazab main giraftar hoga. Dervesh ki yeh bat bhi badshah k kano tak pohach gai. Isne gussay main yeh hukum de dala k is gustakh ki zaban gudi se khech li jaye.
Kisi ne dervesh se kaha tujhe chahiye tha k ehtiate se kam leta aur koi aesi bat na kehta k badshah k taba pe giran guzrati. Dervesh ne be parwahi se jawab dia saza k khof se haq goi ka shaiwa tarak kerna koi achi bat nhi. main yeh saza bhi khushi se bardasht ker longa.
Wazahat:-
Hazrat sadi (RA) ki is hikayat ka mard haq go shareefo aur bahaduron k tabqay ka aik numainda kirdar hai. Zalim badshah k samne haq bat kehna rehmat Do Alam Rasool (SAW) k mubarak alfaz main afzal jihad hai. Aur yeh bat sach ha k yeh jihad noe insani k her fard per farz hai. Yeh farz jis had tak ada kia jaye ga, duniya mai is had tak aman aur adal kaim hoga.

Dedah Ibrat:-

-Kehtey hain aik shehzor pehalwan nadani ki waja se se sakht pareshan tha. woh kushti k dao pech k siwa kuch nhi janta tha aur us k watan mai is fan ka koi kadardan na tha bechara pitti khod ker bari mushkil se pait bharta tha.
Nadari k sath is pehalwan per aik bari iftad yeh a pari thi k is k dil se sabar o karar rukhsat hogya tha. Woh khushal logo ko khatay petey or ram o aesh ki zindagi guzartay dekhta tou hasad or rashk ki aag se is ka sena jalne lagta. Woh socha kerta k akhir in logo main kon se surkhab k par lagay hain jo din raat mazay ker rhe hain aur mujh main kon c kami hai jo har naimat se mehrom hun.??
Aik din ka zikar hai, woh is khyal main mitti khod raha tha k acha ho k koi khazana mere hath ajaye k achanak is ka phodra kisi sakht cheez pe para. Is ne jaldi jhuk k dekha tou insan k jabrey ki haddi thi jo phawarey ki zarb se chor chor hogai thi.
Pehalwan ne jabre ki yeh haddi dekhi tou ghair ahtiati tor per us ki soch ka rukh yun gya usey yun laga  jaise yeh haddi us se yeh keh rhi ho k, ay shaks mitti mai mil ker insan ka yeh hal hota hai. ab is mun ko jo tere samne hai, shkr khaney wala kyas ker le yah khon jiggar pine wala. Duniya mai agr koi aisa mazdor haijo manoo bojh sar per dhota hai ya koi aesa maldar jo jo nkhot k bayis apne ap ko asman k baraber buland khyal kerta ha tou injam dono ka aik hi hai. Har kism ka wajahat se mehromi aur mitti se mil ker mitti ban jana. Is napaidar zindagi mai agr kisi cheez ko sabaat hai tou woh sirf achay aamal hain k inhi k bayis akhrawi zindagi mai aman o aafiat naseeeb hogi.
Wazahat:-
 Is hikayat mai Hazrat Sadi (RA) ne khosh anjam aur mutmain zindagi guzarney ka aik zarain usul bayan kia hai aur woh hai duniya aur asbab is k liye bayis e tasken ban jati hai k zindagi khua kitni bhi labhi q na ho khatam hojane wali hai. Hazrat Rasool Salalaho Alyhywasalam ki yeh hadees shareef isi natejay ki rehnumai kerti hai. Farmaya:-
Naikon main un logo ki taraf dekhna chahiye jo tumse barah hoye hain, aur duniyawi saz o saman main unko jo tumse ziada ghareeb hain.

WaliuAllah ki Nasihat:-

Aik zalim badshah ne aik Allah k banday se arz ki k mere liye kon c ibadat sab se ziada zaruri hai. unho ne farmaya , dopehar ko so rehna tere liye behtareen ibadat hai ta k itni dair log tere zulm se mehfooz rahen.
Aik zalim ko maine dopehar ko soty hoye dekha to main ne kaha yeh fitna ha is ka soye rehna hi behter hai. jis ki neend uski bedari se behter ho us ka marna us k jeney se behter hai.
Wazahat:-
Hukmarano ka kam khidmat e khalq hota hai is farezay ko agr chor ker woh makhlooq khuda ko tang kerna shuru kerden tou samjh lena chahiye k in ki moot ka waqt aney hi wala hai q k ab na sirf woh makhloq balkay khaliq k sath bhi bar sare pekar hojata hai aur jo khuda ko bi apna dushman bna ley phir woh unkareeb hi is k napak wajood se Allah apni zameen ko pak kerdeta hai.

Neki Ka Silah:-

Byan kia jata hai k aik shaks Khajand k ameer ko khwab mai dekhta hai k woh bohat achi halat mai hai air jannat k bagho mai sair ker rha hai. Aik shaks ne sawal kia k aesa buland darjah tje kyunker hasil kia? Ameer ne jawab dia, apni aur koi neki tou yad nhi sirf yeh yad hai k aik bar maine aik yateem k paon se kanta nikal dia tha. Khuda ne shayad is neki k bais yeh darja ata kia hai k mere rastey ka her kanta phool ban jata hai.
Wazahat:-
Reham o karam khudai sift hai. khuda un logo se bohat khush hota hai jo in sifat ko apnata hai. aqli tor per yeh bat smjhi ja skti hai k agr insan kisi k sath acha salook krey tou khair iradi tor per is k dil main is ki izat aur mohabat k jazbay paida hojatey hain. aur agr pehle kisi kisam ki khososiat ho tou woh sard par jati hai. phir yeh bhi zarori nhi k aesi neki bohat barey paimane pe prt ki jaye. Adna c neki bhi insan ki aqbat sanwar deti hai.  



No comments:

Post a Comment

 

Translate

Pages